jis kaa mayassar na thaa bhar ke nazar dekhnaa
— Hasrat Azimabadi
Jis kaa mayassar na thaa bhar ke nazar dekhnaa
Kahtaa hai khat aa.e par Tuk to idhar dekhnaa
Bolaa wo hans ke ki haan dekhe hain tujh se bahut
Main jo kahaa hai gharaz mujh ko magar dekhnaa
Dekhoon na wo din ki main minnat-e-ehsaan luun
Shaam miree ai falak ho na sahar dekhnaa
Roz-e-vidaa.a us ko dekh ik do nazar sair ho
Dekh le phir ham kahaan aur kidhar dekhnaa
Yaar huaa be-dimaagh sun miraa shor-e-junoon
Aah-o-fughaan kaa miree yaaro asar dekhnaa
Jis kee too dekhe hai raah meree nazar men hai khuub
Ik dam idhar dekhnaa ik dam adhar dekhnaa
Itnaa gaya-guzraa bhee mujh ko na vaan se samajh
Ghair too us kooche se phir to guzar dekhnaa
Khilqat-e-khoobaan ke biich qubah-e-khuda nikle hai
Aib hai use munkiro husn agar dekhnaa
Deeda-e-baareek-been raah-e-adam par ho juun
Marg pe dil dharnaa hai us kee kamar dekhnaa
'hasrat' use dil-kushaa jaise hai Dariya kee sair
Mere lab-e-khushk aur deeda-e-tar dekhnaa