kab talak ham ko na aavegaa nazar dekhen to

Hasrat Azimabadi

Kab talak ham ko na aavegaa nazar dekhen to Kaise tarsaataa hai ye deeda-e-tar dekhen to Ishq men us ke ki guzre hain sar o jaan se ham Apnee kis taur se hotee hai guzar dekhen to Kar ke wo jaur-o-sitam hans ke lagaa ye kahne Aah o afghaan kaa tiree ham bhee asar dekhen to Sabr ho saktaa hai kab ham se vale maslahatan Aazmaa.ish dil-e-betaab kee kar dekhen to Dhab chaDhe ho mire tum aaj hee to muddat baad Jaa.enge aap kahaan aur kidhar dekhen to Kis dileree se kare hai too fidaa jaan us par Dil-e-jaan-baaz tiraa ham bhee hunar dekhen to Kya majaal apnee jo Kuch kah saken ham tujh se aur Tujh ko bhar kar nazar ai shokh pisar dekhen to Ho chaleen kheera to akhtar-shumaree se aankhen Shab hamaaree bhee kabhi hogee sahar dekhen to Ishq ke sadme uThaane nahin aasaan 'hasrat' Kar sake koi hamaaraa saa jigar dekhen to