na chhutaa haath se yak lahza garebaan meraa
— Hasrat Azimabadi
Na chhuTaa haath se yak lahza garebaan meraa
Chashm-e-tar hee pe raha gosha-e-daamaan meraa
Jis taraf guzre kare roo-e-zameen ko gulzaar
Sair-e-gulshan se phire jab gul-e-khandaan meraa
Khelen aapas men paree-chehra jahaan zulfen khol
Kaun poochhe hai vahaan haal-e-pareshaan meraa
Bakht hain shor ye apne hee ki wo nausheen lab
Auron kaa chashma-e-haivaan hai namak-daan meraa
Auron kee aankhon ko dekhoon hoon main deedaar-naseeb
Banaa rone ko yahee deeda-e-giryaan meraa
Duur us lab se jo guzre hai dil-e-pur-khoon par
Jaane meraa hee jigar aur ye dandaan meraa
Be-ajal martaa raha ishq men us ke umr bhar
Kahoon kis munh pe main 'hasrat' wo hai jaanaan meraa