phirii sii dekhtaa hoon is chaman ki Kuch havaa bulbul
— Hasrat Azimabadi
Phiree see dekhtaa hoon is chaman kee Kuch havaa bulbul
Tujhe fursat hai jab tak aashiyaan yaan se uThaa bulbul
Too aashiq hai wafa teraa hunar hai ishq men varna
Miraa gul be-wafa hai kya ise qadr-e-wafa bulbul
Dar-e-rahmat khuda kaa baaz hai dil apna taaza rakh
Qafas men hasrat-e-gul se mat itnaa phaDphaDaa bulbul
Tujhe ai baaghbaan ik musht-e-par se kya adaavat hai
Bahaar aakhir hai do din men kujaa gul phir kujaa bulbul
Khizaan-e-shoom ye gulshan ke haq men kya qayaamat hai
Ki is ke aate hee be-barg ho gul be-navaa bulbul
Dil aasooda na paayaa kya khizaan aur kya bahaar is ko
Mohabbat men rakhe hai turfa dard-e-be-davaa bulbul
Bharaa hai ne.amat-e-alvaan se gul kaa khvaan go 'hasrat'
Kare har sub.h uTh kar khoon-e-dil se naashtaa bulbul