raah raste men tuu yuun rahtaa hai aa kar ham se mil
— Hasrat Azimabadi
Raah-raste men too yuun rahtaa hai aa kar ham se mil
Kam gaya lekin wo yaar-e-khaangee ghar ham se mil
Dil taDaptaa hai paDaa is seena-e-sad-chaak men
Khol kar band-e-qabaa too ai saman-bar ham se mil
Be-niyaaz us husn ko aur naaz ko barpaa rakhe
Be-takalluf ho ke too ai naaz-parvar ham se mil
Pahunchnaa tum tak miyaan apna to ik ashkaal hai
Hove taa milnaa tiraa ham ko mayassar ham se mil
Har museebat bhar ke main pahunchaa hoon tere dar talak
Be-muravvat ek dam aa ghar se baahar ham se mil
Ab to us be-dast-o-paa se ho nahin saktee talaash
DhoonD le kar ham ko ai rizq-e-muqaddar ham se mil
In dinon rahtee hai mujh ko be-qaraaree beshtar
Qasd kar ke to mukarrar aur muqarrar ham se mil
Ser rakhtee hain miree be-taabi.en us vaqt zor
Harf hamaaraa gar nahin hai tujh ko baavar ham se mil
Ho gaya teree havaa-khvaahee men 'hasrat' too ba-baad
BaiThaa kya hai khaak men ham ko milaa kar ham se mil