siina to dhuund liyaa muttasil apna ham ne

Hasrat Azimabadi

Siina to DhoonD liyaa muttasil apna ham ne Nahin maaloom diyaa kis ko dil apna ham ne Ahd kya kar ke tire dar se uThe the qismat Phir dikhaayaa tujhe roo-e-khajil apna ham ne Meree aaloodgiyon se na kar ikraah ai shaikh Kuch banaayaa to nahin aab-o-gil apna ham ne Sakht kaafir kaa dil afsos na sharmaayaa kabhi Puujaa juun but to bahut sang-dil apna ham ne Paanee pahunchaa sake jab tak miree chashm-e-namnaak Jal bujhaa paayaa dil-e-mushta.il apna ham ne Baad sau ranjish-e-bejaa ke na paayaa ba-ghalat Na pasheemaan tujhe munfa.il apna ham ne Dar ghareebee na thaa Kuch aur mayassar 'hasrat' Ishq kee nazr kiyaa diin o dil apna ham ne