us zulf se dil ho kar aazaad bahut royaa
— Hasrat Azimabadi
Us zulf se dil ho kar aazaad bahut royaa
Ye silsila-e-ulfat kar yaad bahut royaa
Rahm us ko na thaa hargiz har chand bahaal-e-sag
Us kooche men main kar kar fariyaad bahut royaa
Mazloomee miree aur zulm dekh us but-e-kaafir kaa
Rahm aayaa sitam ke ta.iin be-daad bahut royaa
Dil gham se na ho khaalee rone se miraa lekin
Taa ho mire rone se wo shaad bahut royaa
Is ishq kee majbooree naaseh pe khulee jab se
Kar man.a-e-mohabbat kaa irshaad bahut royaa
Dekhee na khuda-tarsee ik gabr o musalmaan se
Har ik se talab kar kar main daad bahut royaa
Anjaam mohabbat kaa boojhaa thaa magar us ko
Jab dil lagaa sheereen se farhaad bahut royaa
Hai taaza-giraftaaron kee fariyaad ko kya riqqat
Shab naala miraa sun kar sayyaad bahut royaa
Sangeen-dilee us but kee main jis se kahee 'hasrat'
Har-chand dil us kaa thaa faulaad bahut royaa