wafa ke hain khvaan par nivaale ze aaab avval doam ba aatish
— Hasrat Azimabadi
Wafa ke hain khvaan par nivaale ze-a.aab avval duvam ba-aatish
Bhare hai saaqee yahaan pyaale ze-aab avval duvam ba-aatish
Chaman men josh-e-junoon ke hain ashk aur daagh-e-daroon se apne
Karoon shagufta gul aur laale ze-aab avval duvam ba-aatish
Hamaare ashk aur aah kee maujen baandh detee hain sab jo duuree
Bane hain maah-e-falak pe haale ze-aab avval duvam ba-aatish
Jahaan ke sab garm o sard dekhe na zauq hai un men Kuch na lazzat
Do roz chhaatee yahaan pakaale ze-aab avval do.am ba-aatish
Do hukm hain shaah-e-'ishq ke in men ek galnaa hai ek jalnaa
Hain daftar-e-dard men qabaale ze-aab avval do.am ba-aatish
Na khol vaa'iz kitaab-e-daanish ki aatish-e-'ishq o aab-e-mai se
Dho.oon jalaa.oon tire risaale ze-aab avval do.am ba-aatish
Sitam hai aafat hai mahr yaa kiin balaa ye ishq-e-sateeza-gar kee
Dilon ke khaane ujaaD Daale ze-aab avval do.am ba-aatish
PaDe hain ham khoon-e-dil men ghaltaan jigar hai daagh-e-jafaa se sozaan
Koi hai apne ta.iin sanbhaale ze-aab avval do.am ba-aatish
Visaal kee justujoo men 'hasrat' chalaa na zaaree na zor kaa Kuch
Bahut se yaan ham ne Dhab nikaale ze-aab avval do.am ba-aatish