yaa ilaahii miraa dildaar salaamat baashad
— Hasrat Azimabadi
Yaa ilaahee miraa dildaar salaamat baashad
Wo valee nemat-e-deedaar salaamat baashad
Nek-o-bad se hai miree khaatir-e-naashaad aazaad
Gham-gusaar apna gham-e-yaar salaamat baashad
Na rakhee dil men hamaare tama-e-khaam-e-visaal
Rashk-e-aghyaar kaa aazaar salaamat baashad
Gar na de sharbat-e-unnaab mujhe wo lab-e-laal
Ishva-e-nargis-e-beemaar salaamat baashad
Khaaksaaron kaa koi go na hue pusht-panaah
Sar pe wo saaya-e-deevaar salaamat baashad
Us sag-e-koo kee nahin Kuch mujhe muddat se khabar
Wo miraa yaar-e-vafaadaar salaamat baashad
Qatl-e-aashiq ke ta.iin go hove yak shahr gavaah
Wo tiraa naaz se inkaar salaamat baashad
Mard-e-haq kaa rahe Dunya men alam-e-naam buland
Nahin mansoor agar daar salaamat baashad
Yaar kee mehr-o-muravvat pe na rakh dil 'hasrat'
Ye tiraa ishq kaa iz.haar salaamat baashad