yaar ibtidaa e ishq se be zaar hi raha
— Hasrat Azimabadi
Yaar ibtidaa-e-ishq se be-zaar hee raha
Bedard dil ke dar piye aazaar hee raha
Jis din se dost rakhtaa hoon us ko hijaab-e-husn
Apna hamesha dushman-e-deedaar hee raha
Ye ishq-e-parda-dar na chhupaayaa chhupaa daregh
Siitaa hamesha main lab-e-iz.haar hee raha
Qaid-e-farang-e-zulf na kaafir ko ho naseeb
Jo vaan phansaa hamesha giraftaar hee raha
Jaan-bakhsh thaa jahaan kaa maseehaa-e-lab tiraa
Lekin main us ke daur men beemaar hee raha
Gar qatl-e-be-gunaah thaa manzoor yaar ko
Marne pe apne main bhee to tayyaar hee raha
Dauraan-e-lutf main tire ai mub.hvis-navaaz
Mahroom vasl se ye gunahgaar hee raha
'hasrat' hamesha us kee shab-e-intizaar men
Juun taala-e-raqeeb main bedaar hee raha