aasaan e haqiiqii hai na Kuch sahal e majaazii
— Hasrat Mohani
Aasaan-e-haqeeqee hai na Kuch sahl-e-majaazee
Ma.aloom huee raah-e-mohabbat kee daraazee
Kuch lutf o nazar laazim o malzoom naheen hain
Ik ye bhee tamannaa kee na ho sho.abada baazee
Dil khuub samajhtaa hai tire harf-e-karam ko
Har-chand wo urdu hai na turkee hai na taazee
Qaa.im hai na wo husn-e-rukh-e-yaar kaa aalam
Baaqee hai na wo shauq kee hangaama-navaazee
Ai ishq tiree fat.h bahar-haal hai saabit
Mar kar bhee shaheedaan-e-mohabbat hue ghaazee
Kar jald hamen khatm kaheen ai gham-e-jaanaan
Kaam aa.egee kis roz tiree seena-gudaazee
Ma.aloom hai Dunya ko ye 'hasrat' kee haqeeqat
Khalvat men wo mai-khvaar hai jalvat men namaazee