ab to uth saktaa nahin aankhon se baar e intizaar
— Hasrat Mohani
Ab to uTh saktaa naheen aankhon se baar-e-intizaar
Kis tarah kaaTe koee lail-o-nahaar-e-intizaar
Un kee ulfat kaa yaqeen ho un ke aane kee umiid
Hon ye donon sooraten to hai bahaar-e-intizaar
Jaan-o-dil kaa haal kya kahiye firaaq-e-yaar men
Jaan majrooh-e-alam hai dil figaar-e-intizaar
Meree aahen naa-rasaa meree duaa.en naa-qubool
Yaa-ilaahee kya karoon main sharmsaar-e-intizaar
Un ke khat kee aarzoo hai un kee aamad kaa khayaal
Kis qadar phailaa huaa hai kaar-o-baar-e-intizaar
Hai dil-e-masroor-e-'hasrat' ik tarab-zaar-e-umeed
Phoonk Daale gar na is gulshan ko naar-e-intizaar