apna saa shauq auron men laaen kahaan se ham
— Hasrat Mohani
Apna saa shauq auron men laa.en kahaan se ham
Ghabraa ga.e hain be-dili-e-hamrahaan se ham
Kuch aisi duur bhee to nahin manzil-e-muraad
Lekin ye jab ki chhooT chalen kaarvaan se ham
Ai yaad-e-yaar dekh ki baa-vasf-e-ranj-e-hijr
Masroor hain tiree khalish-e-naa-tavaan se ham
Maaloom sab hai poochhte ho phir bhee mudda.aa
Ab tum se dil kee baat kahen kya zabaan se ham
Ai zohd-e-khushk teree hidaayat ke vaaste
Saughaat-e-ishq laa.e hain koo-e-butaan se ham
Betaabiyon se chhup na sakaa haal-e-aarzoo
Aakhir bache na us nigah-e-bad-gumaan se ham
Peeraana-sar bhee shauq kee himmat buland hai
Khvaahaan-e-kaam-e-jaan hain jo us naujavaan se ham
Maayoos bhee to karte nahin tum za-raah-e-naaz
Tang aa ga.e hain kashmakash-e-imtihaan se ham
Khalvat banegee tere gham-e-jaan-navaaz kee
Lenge ye kaam apne dil-e-shaadmaan se ham
Hai intihaa-e-yaas bhee ik ibtidaa-e-shauq
Phir aa ga.e vaheen pe chale the jahaan se ham
'hasrat' phir aur jaa ke karen kis kee bandagee
Achchhaa jo sar uThaa.en bhee is aastaan se ham