aql se haasil huii kya kya pashiimaanii mujhe
— Hasrat Mohani
Aql se haasil huee kya kya pasheemaanee mujhe
Ishq jab dene lagaa taaleem-e-naadaanee mujhe
Ranj degee baagh-e-rizvaan kee tan-aasaanee mujhe
Yaad aa.egaa tiraa lutf-e-sitam-raanee mujhe
Meree jaanib hai mukhaatib khaas kar wo chashm-e-naaz
Ab to karnee hee paDegee dil kee qurbaanee mujhe
Dekh le ab kaheen aa kar jo wo ghaflat-shi.aar
Kis qadar ho jaa.e mar jaane men aasaanee mujhe
Be-naqaab aane ko hain maqtal men wo be-shak magar
Dekhne kaahe ko degee meree hairaanee mujhe
SainkaDon aazaadiyaan is qaid par 'hasrat' nisaar
Jis ke baa.is kahte hain sab un kaa zindaanee mujhe