aur bhi ho gae begaana wo gaflat kar ke
— Hasrat Mohani
Aur bhee ho ga.e begaana wo ghaflat kar ke
Aazmaayaa jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke
Dil ne chhoDaa hai na chhoDe tire milne kaa khayaal
Baar-haa dekh liyaa ham ne malaamat kar ke
Dekhne aa.e the wo apnee mohabbat kaa asar
Kahne ko ye hai ki aa.e hain 'ayaadat kar ke
Pasti-e-hausla-e-shauq kee ab hai ye salaah
Baith rahiye gham-e-hijraan pe qanaa'at kar ke
Dil ne paayaa hai mohabbat kaa ye 'aalee rutba
Aap ke dard-e-davaa-kaar kee khidmat kar ke
Ruuh ne paa.ee hai takleef-e-judaa.ee se najaat
Aap kee yaad ko sarmaaya-e-raahat kar ke
ChheD se ab wo ye kahte hain ki sanbhlo 'hasrat'
Sabr o taab-e-dil-e-beemaar ko ghaarat kar ke