aur to paas mire hijr men kya rakkhaa hai

Hasrat Mohani

Aur to paas mire hijr men kya rakkhaa hai Ik tire dard ko pahloo men chhupaa rakkhaa hai Dil se arbaab-e-wafa kaa hai bhulaanaa mushkil Ham ne ye un ke taghaaful ko sunaa rakkhaa hai Tum ne baal apne jo phoolon men basaa rakkhe hain Shauq ko aur bhee deevaana banaa rakkhaa hai Sakht bedard hai taaseer-e-mohabbat ki unhen Bistar-e-naaz pe sote se jagaa rakkhaa hai Aah wo yaad ki us yaad ko ho kar majboor Dil-e-maayoos ne muddat se bhulaa rakkhaa hai Kya ta.ammul hai mire qatl men ai baazoo-e-yaar Ek hee vaar men sar tan se judaa rakkhaa hai Husn ko jaur se begaana na samjho ki use Ye sabaq ishq ne pahle hee paDhaa rakkhaa hai Teree nisbat se sitamgar tire maayooson ne Daagh-e-hirmaan ko bhee siine se lagaa rakkhaa hai Kahte hain ahl-e-jahaan dard-e-mohabbat jis ko Naam usee kaa dil-e-muztar ne davaa rakkhaa hai Nigah-e-yaar se paikaan-e-qazaa kaa mushtaaq Dil-e-majboor nishaane pe khulaa rakkhaa hai Is kaa anjaam bhee Kuch soch liyaa hai 'hasrat' Too ne rabt un se jo is darja baDhaa rakkhaa hai