barkaten sab hain ayaan daulat e ruuhaanii ki

Hasrat Mohani

Barkaten sab hain ayaan daulat-e-roohaanee kee Vaah kya baat hai us chehra-e-nooraanee kee Shauq dekhe tujhe kis aankh se ai mehr-e-jamaal Kuch nihaayat hee naheen teree darakhshaanee kee Mujh se wo sag bhee hai afzal jise izzat ho naseeb Aastaan-e-haram-e-yaar pe darbaanee kee Jab sunaa yaad kiyaa karte ho tum bhee to mujhe Kya kahoon had na rahee Kuch miree hairaanee kee Sa.i-e-ahbaab ko naahaq hai rihaa.ee kaa khayaal Aur hee Kuch hai tamannaa tire zindaanee kee Wo tabassum bhee qayaamat hai tiraa baad-e-jafaa Too ne dee ho jise khidmat namak-afshaanee kee Mushkilon se jo muqaabil huee himmat meree Qadr baaqee na rahee aish-e-tan-aasaanee kee Rah gaya jal ke tiree bazm men parvaana jo raat Kheench ga.ee shakl miree sokhta-saamaanee kee Rashk-e-shaahee ho na kyuun apnee faqeeree 'hasrat' Kab se karte hain ghulaamee shah-e-jeelaanee kee