bhulaataa laakh hoon lekin baraabar yaad aate hain
— Hasrat Mohani
Bhulaataa laakh hoon lekin baraabar yaad aate hain
Ilaahee tark-e-ulfat par wo kyoonkar yaad aate hain
Na chheD ai ham-nasheen kaifiyyat-e-sahbaa ke afsaane
Sharaab-e-be-khudee ke mujh ko saaghar yaad aate hain
Raha karte hain qaid-e-hosh men ai vaa.e-naakaamee
Wo dasht-e-khud-faraamoshee ke chakkar yaad aate hain
Naheen aatee to yaad un kee maheenon tak naheen aatee
Magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
Haqeeqat khul ga.ee 'hasrat' tire tark-e-mohabbat kee
Tujhe to ab wo pahle se bhee baDh kar yaad aate hain