chupke chupke raat din aansuu bahaanaa yaad hai

Hasrat Mohani

Chupke chupke raat din aansoo bahaanaa yaad hai Ham ko ab tak aashiqee kaa wo zamaanaa yaad hai Baa-hazaaraan iztiraab o sad-hazaaraan ishtiyaaq Tujh se wo pahle-pahal dil kaa lagaanaa yaad hai Baar baar uThnaa usee jaanib nigaah-e-shauq kaa Aur tiraa ghurfe se wo aankhen laDaanaa yaad hai Tujh se Kuch milte hee wo bebaak ho jaanaa miraa Aur tiraa daanton men wo unglee dabaanaa yaad hai Kheench lenaa wo miraa parde kaa konaa daf.atan Aur dupaTTe se tiraa wo munh chhupaanaa yaad hai Jaan kar sotaa tujhe wo qasd-e-paa-bosee miraa Aur tiraa Thukraa ke sar wo muskuraanaa yaad hai Tujh ko jab tanhaa kabhi paanaa to az-raah-e-lihaaz Haal-e-dil baaton hee baaton men jataanaa yaad hai Jab sivaa mere tumhaaraa koi deevaana na thaa Sach kaho Kuch tum ko bhee wo kaar-khaanaa yaad hai Ghair kee nazron se bach kar sab kee marzee ke khilaaf Wo tiraa choree-chhupe raaton ko aanaa yaad hai Aa gaya gar vasl kee shab bhee kaheen zikr-e-firaaq Wo tiraa ro ro ke mujh ko bhee rulaanaa yaad hai Dopahar kee dhoop men mere bulaane ke liye Wo tiraa koThe pe nange paanv aanaa yaad hai Aaj tak nazron men hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaaz Apna jaanaa yaad hai teraa bulaanaa yaad hai MeeThee meeThee chheD kar baaten niraalee pyaar kee Zikr dushman kaa wo baaton men uDaanaa yaad hai Dekhnaa mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se Jab manaa lenaa to phir khud rooth jaanaa yaad hai Choree choree ham se tum aa kar mile the jis jagah Muddaten guzreen par ab tak wo Thikaanaa yaad hai Shauq men mehndee ke wo be-dast-o-paa honaa tiraa Aur miraa wo chheDnaa wo gudgudaanaa yaad hai Baavajood-e-iddi.aa-e-ittiqaa 'hasrat' mujhe Aaj tak ahd-e-havas kaa wo fasaanaa yaad hai