dil ko khayaal e yaar ne makhmuur kar diyaa
— Hasrat Mohani
Dil ko khayaal-e-yaar ne makhmoor kar diyaa
Saaghar ko rang-e-baada ne pur-noor kar diyaa
Maanoos ho chalaa tha tasallee se haal-e-dil
Phir too ne yaad aa ke ba-dastoor kar diyaa
Gustaakh-dastiyon kaa na tha mujh men hausla
Lekin hujoom-e-shauq ne majboor kar diyaa
Kuch aisi ho ga.ee hai tere gham men mubtilaa
Goyaa kisee ne jaan ko mas.hoor kar diyaa
Betaabiyon se chhup na sakaa maajraa-e-dil
Aakhir huzoor-e-yaar bhee mazkoor kar diyaa
Ahl-e-nazar ko bhee nazar aayaa na roo-e-yaar
Yaan tak hijaab-e-noor ne mastoor kar diyaa
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqee buland
Tujh ko to muft logon ne mash.hoor kar diyaa