ghategaa tere kuuche men vaqaar aahista aahista

Hasrat Mohani

GhaTegaa tere kooche men vaqaar aahista aahista BaDhegaa 'aashiqee kaa aitbaar aahista aahista Bahut naadim hue aakhir wo mere qatl-e-naahaq par Huee qadr-e-wafa jab aashkaar aahista aahista Jilaa-e-shauq se aa.eena-e-tasveer-e-khaatir men Numaayaan ho chalaa roo-e-nigaar aahista aahista Mohabbat kee jo phailee hai ye nik.hat baagh-e-aalam men Huee hai muntashir khushbu-e-yaar aahista aahista Dil o jaan o jigar sabr o khirad jo kuch hai paas apne Ye sab kar denge ham un par nisaar aahista aahista 'ajab kuch haal ho jaataa hai apna be-qaraaree se Bajaate hain kabhi jab wo sitaar aahista aahista Asar kuch kuch rahegaa vasl men bhee ranj-e-furqat kaa Dil-e-muztar ko aa.egaa qaraar aahista aahista Na aa.enge wo 'hasrat' intizaar-e-shauq men yoonhee Guzar jaa.enge ayyaam-e-bahaar aahista aahista