ham ne kis din tire kuuche men guzaaraa na kiyaa

— Hasrat Mohani

Ham ne kis din tire kooche men guzaaraa na kiyaa Too ne ai shokh magar kaam hamaaraa na kiyaa Ek hee baar huiin vaj.h-e-giraftaaree-e-dil Iltifaat un kee nigaahon ne dubaaraa na kiyaa Mahfil-e-yaar kee rah jaa.egee aadhee raunaq Naaz ko us ne agar anjuman-aaraa na kiyaa Taan-e-ahbaab sune sarzanish-e-khalq sahee Ham ne kya kya tiree khaatir se gavaaraa na kiyaa Jab diyaa tum ne raqeebon ko diyaa jaam-e-sharaab Bhuul kar bhee miree jaanib ko ishaaraa na kiyaa Roo-ba-roo chashm-e-tasavvur ke wo har vaqt rahe Na sahee aankh ne gar un kaa nazaaraa na kiyaa Gar yahee hai sitam-e-yaar to ham ne 'hasrat' Na kiyaa Kuch bhee jo Dunya se kinaaraa na kiyaa