har haal men raha jo tiraa aasraa mujhe
— Hasrat Mohani
Har haal men raha jo tiraa aasraa mujhe
Maayoos kar sakaa na hujoom-e-balaa mujhe
Har naghme ne unheen kee talab kaa diyaa payaam
Har saaz ne unheen kee sunaa.ee sadaa mujhe
Har baat men unheen kee khushee kaa raha khayaal
Har kaam se gharaz hai unheen kee razaa mujhe
Rahtaa hoon gharq un ke tasavvur men roz o shab
Mastee kaa paD gaya hai Kuch aisa mazaa mujhe
Rakhiye na mujh pe tark-e-mohabbat kee tohmaten
Jis kaa khayaal tak bhee naheen hai ravaa mujhe
Kaafee hai un ke paa-e-hinaa-basta kaa khayaal
Haath aa.ee khuub soz-e-jigar kee davaa mujhe
Kya kahte ho ki aur lagaa lo kisee se dil
Tum saa nazar bhee aa.e koee doosraa mujhe
Begaana-e-adab kiye detee hai kya karoon
Us mahv-e-naaz kee nigah-e-aashnaa mujhe
Us be-nishaan ke milne kee 'hasrat' huee umiid
Aab-e-baqaa se baDh ke hai zahr-e-fanaa mujhe