husn e be mehr ko parvaa e tamannaa kya ho

Hasrat Mohani

Husn-e-be-mehr ko parvaa-e-tamannaa kya ho Jab ho aisa to ilaaj-e-dil-e-shaidaa kya ho Kasrat-e-husn kee ye shaan na dekhee na sunee Barq larzaan hai koi garm-e-tamaashaa kya ho Be-misaalee ke hain ye rang jo baa-vasf-e-hijaab Be-naqaabee pe tiraa jalva-e-yaktaa kya ho Dekhen ham bhee jo tire husn-e-dil-aaraa kee bahaar Is men nuqsaan tiraa ai gul-e-raa'naa kya ho Ham gharaz-mand kahaan martaba-e-ishq kahaan Ham ko samjhen wo havas-kaar to bejaa kya ho Dil-farebee hai tiree baa.is-e-sad josh o kharosh Haal ye ho to dil-e-zaar shakebaa kya ho Raat din rehne lagee us sitam-eejaad kee yaad 'hasrat' ab dekhiye anjaam hamaaraa kya ho