husn e be parvaa ko khud biin o khud aaraa kar diyaa
— Hasrat Mohani
Husn-e-be-parvaa ko khud-been o khud-aaraa kar diyaa
Kya kiyaa main ne ki iz.haar-e-tamannaa kar diyaa
BaDh ga.iin tum se to mil kar aur bhee betaabiyaan
Ham ye samjhe the ki ab dil ko shakebaa kar diyaa
PaDh ke teraa khat mire dil kee ajab haalat huee
Iztiraab-e-shauq ne ik hashr barpaa kar diyaa
Ham rahe yaan tak tiree khidmat men sargarm-e-niyaaz
Tujh ko aakhir aashnaa-e-naaz-e-bejaa kar diyaa
Ab nahin dil ko kisee soorat kisee pahloo qaraar
Us nigaah-e-naaz ne kya sehr aisa kar diyaa
Ishq se tere baDhe kya kya dilon ke martabe
Mehr zarron ko kiyaa qatron ko Dariya kar diyaa
Kyuun na ho teree mohabbat se munavvar jaan o dil
Sham.a jab raushan huee ghar men ujaalaa kar diyaa
Teree mahfil se uThaataa ghair mujh ko kya majaal
Dekhtaa thaa main ki too ne bhee ishaara kar diyaa
Sab ghalat kahte the lutf-e-yaar ko vaj.h-e-sukoon
Dard-e-dil us ne to 'hasrat' aur duunaa kar diyaa