jo wo nazar basar e lutf aam ho jaae
— Hasrat Mohani
Jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jaa.e
Ajab nahin ki hamaaraa bhee kaam ho jaa.e
Sharaab-e-shauq kee qeemat hai naqd-e-jaan-e-azeez
Agar ye baa.is-e-kaif-e-davaam ho jaa.e
Raheen-e-yaas rahen ahl-e-aarzoo kab tak
Kabhi to aap kaa darbaar aam ho jaa.e
Jo aur Kuch ho tiree diid ke sivaa manzoor
To mujh pe khwaish-e-jannat haraam ho jaa.e
Wo duur hee se hamen dekh len yahee hai bahut
Magar qubool hamaaraa salaam ho jaa.e
Agar wo husn-e-dil-aaraa kabhi ho jalva farosh
Farogh-e-noor men gum zarf-e-baam ho jaa.e
Sunaa hai bar-sar-e-bakhshish hai aaj piir mughaan
Hamen bhee kaash ataa koi jaam ho jaa.e
Tire karam pe hai mauqoof kaamraani-e-shauq
Ye naa-tamaam ilaahee tamaam ho jaa.e
Sitam ke baad karam hai jafaa ke baad ataa
Hamen hai bas jo yahee iltizaam ho jaa.e
Ataa ho soz wo yaa rab junoon-e-'hasrat' ko
Ki jis se pukhta ye sauda-e-khaam ho jaa.e