khuub ruuyon se yaariyaan na gaiin
— Hasrat Mohani
Khoob-rooyon se yaariyaan na ga.iin
Dil kee be-ikhtiyaariyaan na ga.iin
Aql-e-sabr-aashnaa se Kuch na huaa
Shauq kee be-qaraariyaan na ga.iin
Din kee sahraa-navardiyaan na chhuTeen
Shab kee akhtar-shumaariyaan na ga.iin
Hosh yaan sadd-e-raah-e-ilm raha
Aql kee harzaa-kaariyaan na ga.iin
The jo ham-rang-e-naaz un ke sitam
Dil kee ummeedvaariyaan na ga.iin
Husn jab tak raha nazaara-farosh
Sabr kee sharmsaariyaan na ga.iin
Tarz-e-'momin' men marhabaa 'hasrat'
Teree rangeen-nigaariyaan na ga.iin