krishn mathuraa ki nagar hai aashiqii kaa
— Hasrat Mohani
Mathuraa ki nagar hai aashiqee kaa
Dam bhartee hai aarzoo isee kaa
Har zarra-e-sar-zameen-e-gokul
Daaraa hai jamaal-e-dilbaree kaa
Barsaanaa-o-nand-gaanv men bhee
Dekh aa.e hain jalva ham kisee kaa
Paighaam-e-hayaat-e-jaavedaan tha
Har naghma-e-krishn baansuree kaa
Vo noor-e-siyaah yaa ki hasrat
Sar-chashma farogh-e-aagahee kaa
Mathura ki nagar hai aashiqi ka
Dam bharti hai aarzu isi ka
Har zarra-e-sar-zamin-e-gokul
Dara hai jamal-e-dilbari ka
Barsana-o-nand-ganw mein bhi
Dekh aae hain jalwa hum kisi ka
Paigham-e-hayat-e-jawedan tha
Har naghma-e-krishn bansuri ka
Wo nur-e-siyah ya ki hasrat
Sar-chashma farogh-e-agahi ka