lutf ki un se iltijaa na karen
— Hasrat Mohani
Lutf kee un se iltijaa na karen
Ham ne aisa kabhi kiyaa na karen
Mil rahegaa jo un se milnaa hai
Lab ko sharminda-e-duaa na karen
Sabr mushkil hai aarzoo bekaar
Kya karen aashiqee men kya na karen
Maslak-e-ishq men hai fikr haraam
Dil ko tadbeer-aashnaa na karen
Bhuul hee jaa.en ham ko ye to na ho
Log mere liye duaa na karen
Marzi-e-yaar ke khilaaf na ho
Kaun kahtaa hai wo jafaa na karen
Shauq un kaa so miT chukaa 'hasrat'
Kya karen ham agar wafa na karen