muqarrar Kuch na Kuch is men raqiibon ki bhi saazish hai
— Hasrat Mohani
Muqarrar Kuch na Kuch is men raqeebon kee bhee saazish hai
Wo be-parvaa ilaahee mujh pe kyuun garm-e-navaazish hai
Pa-e-mashq-e-taghaaful aap ne makhsoos Thahraayaa
Hamen ye baat bhee min-jumala-e-asbaab naazish hai
MiTaa de khud hamen gar shikva-e-gham miT naheen saktaa
Jafaa-e-yaar se ye aakhiree apnee guzaarish hai
Kahaan mumkin kisee ko baaryaabee un kee mahfil men
Na itmeenaan-e-koshish hai na ummeed-e-sifaarish hai
Nihaan hai dil pazeeree jis ke har har lafz-e-sheereen men
Ye kis jaan-e-wafa ke haath kee rangeen nigaarish hai
Kiyaa thaa ek din dil ne jo daava-e-shakebaa.ee
So ab tak un ke naaz-e-dilbaree ko ham se kaavish hai
Hujoom-e-yaas ne be-dil kiyaa aisa ki 'hasrat' ko
Tire aane kee ab ummeed baaqee hai na khvaahish hai