na sahii gar unhen khayaal nahin
— Hasrat Mohani
Na sahee gar unhen khayaal naheen
Ki hamaaraa bhee ab wo haal naheen
Yaad unhen waada-e-visaal naheen
Kab kiyaa thaa yahee khayaal naheen
Aise bigDe wo sun ke shauq kee baat
Aaj tak ham se bol-chaal naheen
Mujh ko ab gham ye hai ki baad mire
Khaatir-e-yaar be-malaal naheen
Afv-e-haq kaa hai mai-kashon pe nuzool
Rezish-e-abr-e-barshagaal naheen
Ham pe kyuun arz-e-haal-e-dil pe itaab
Elchee ko kaheen zavaal naheen
Sun ke mujh se wo khvaahish-e-paa-bos
Hans ke kahne lage majaal naheen
Dil ko hai yaad shauq kaa wo hunar
Jis se baDh kar koee kamaal naheen
Aap naadim na hon ki 'hasrat' se
Shikva-e-gham kaa ehtimaal naheen