nigaah e yaar jise aashnaa e raaz kare
— Hasrat Mohani
Nigaah-e-yaar jise aashnaa-e-raaz kare
Wo apnee khoobi-e-qismat pe kyuun na naaz kare
Dilon ko fikr-e-do-aalam se kar diyaa aazaad
Tire junoon kaa khuda silsila daraaz kare
Khirad kaa naam junoon paD gaya junoon kaa khirad
Jo chaahe aap kaa husn-e-karishma-saaz kare
Tire sitam se main khush hoon ki ghaaliban yuun bhee
Mujhe wo shaamil-e-arbaab-e-imtiyaaz kare
Gham-e-jahaan se jise ho faraagh kee khvaahish
Wo un ke dard-e-mohabbat se saaz-baaz kare
Ummeed-vaar hain har samt aashiqon ke giroh
Tiree nigaah ko allaah dil-navaaz kare
Tire karam kaa sazaa-vaar to naheen 'hasrat'
Ab aage teree khushee hai jo sarfaraaz kare