tod kar ahd e karam naa aashnaa ho jaaiye

Hasrat Mohani

ToD kar ahd-e-karam naa-aashnaa ho jaa.iye Banda-parvar jaa.iye achchhaa khafaa ho jaa.iye Mere uzr-e-jurm par mutlaq na kiije iltifaat Balki pahle se bhee baDh kar kaj-adaa ho jaa.iye Khaatir-e-mahroom ko kar deejiye mahv-e-alam Dar-pa-e-eezaa-e-jaan-e-mubtalaa ho jaa.iye Raah men miliye kabhi mujh se to az-raah-e-sitam HonT apna kaaT kar fauran judaa ho jaa.iye Gar nigaah-e-shauq ko mahv-e-tamaashaa dekhiye Qahr kee nazron se masroof-e-sazaa ho jaa.iye Meree tahreer-e-nadaamat kaa na diije Kuch javaab Dekh liije aur taghaaful-aashnaa ho jaa.iye Mujh se tanhaa.ee men gar miliye to diije gaaliyaan Aur bazm-e-ghair men jaan-e-hayaa ho jaa.iye Haan yahee meree wafa-e-be-asar kee hai sazaa Aap Kuch is se bhee baDh kar pur-jafaa ho jaa.iye Jee men aataa hai ki us shokh-e-taghaaful-kesh se Ab na miliye phir kabhi aur bevafaa ho jaa.iye Kaavish-e-dard-e-jigar kee lazzaton ko bhuul kar Maa.il-e-aaraam o mushtaaq-e-shifaa ho jaa.iye Ek bhee armaan na rah jaa.e dil-e-maayoos men Yaanee aakhir be-niyaaz-e-mudda.aa ho jaa.iye Bhuul kar bhee us sitam-parvar kee phir aa.e na yaad Is qadar begaana-e-ahd-e-wafa ho jaa.iye Haa.e ree be-ikhtiyaaree ye to sab Kuch ho magar Us saraapaa naaz se kyoonkar khafaa ho jaa.iye Chaahtaa hai mujh ko too bhoole na bhooloon main tujhe Tere is tarz-e-taghaaful ke fidaa ho jaa.iye Kashmakash-haa-e-alam se ab ye 'hasrat' jee men hai ChhuT ke in jhagDon se mehmaan-e-qazaa ho jaa.iye