tujh se garviida yak zamaana raha
— Hasrat Mohani
Tujh se girveeda yak zamaana raha
Kuchh faqat main hee mubtalaa na raha
Aap ko ab huee hai qadr-e-wafa
Jab ki main laa.iq-e-jafaa na raha
Raah-o-rasm-e-wafa wo bhuul ga.e
Ab hamen bhee koee gila na raha
Husn khud ho gaya ghareeb-navaaz
Ishq muhtaaj-e-iltejaa na raha
Bas-ki nazzaara-soz thaa wo jamaal
Hosh-e-nazzaargee bajaa na raha
Main kabhee tujh se bad-gumaan na huaa
Too kabhee mujh se aashnaa na raha
Aap kaa shauq bhee to ab dil men
Aap kee yaad ke sivaa na raha
Aur bhee ho ga.e wo ghaafil-e-khvaab
Naala-e-sub.h-e-naa-rasaa na raha
Husn kaa naaz aashiqee kaa niyaaz
Ab to kuchh bhee wo maajraa na raha
Ishq jab shikva sanj-e-husn huaa
Iltijaa ho ga.ee gila na raha
Ham bharose pe un ke baith rahe
Jab kisee kaa bhee aasraa na raha
Mere gham kee huee unhen bhee khabar
Ab to ye dard laa-davaa na raha
Aarzoo teree barqaraar rahe
Dil kaa kya hai raha raha na raha
Ho ga.e khatm mujh pe jaur-e-falak
Ab koee morid-e-balaa na raha
Jab se dekhee abul-kalaam kee nasr
Nazm-e-'hasrat' men bhee mazaa na raha