un ko jo shugl e naaz se fursat na ho sakii

Hasrat Mohani

Un ko jo shughl-e-naaz se fursat na ho sakee Ham ne ye kah diyaa ki mohabbat na ho sakee Shukr-e-jafaa bhee ahl-e-razaa ne kiyaa adaa Un se yahee nahin ki shikaayat na ho sakee Shab kaa ye haal hai ki tiree yaad ke sivaa Dil ko kisee khayaal se raahat na ho sakee Paa-bos kee bhee ham ko ijaazat na de sake Itnee bhee tum se qadr-e-mohabbat na ho sakee Gharq-e-suroor-o-soor mujhe paa ke daf.atan Naaseh se tark-e-mai kee naseehat na ho sakee Khaamoshiyon kaa raaz-e-mohabbat wo paa ga.e Go ham se arz-e-haal kee jur.at na ho sakee Kar dee zabaan-e-shauq ne sab sharh-e-aarzoo Alfaaz men agarche saraahat na ho sakee Lutf-e-mazeed kee main tamannaa to kar sakaa Tum ye to kah sake ki qanaa.at na ho sakee Kyuun itnee jald ho ga.e ghabraa ke ham fanaa Ai dard-e-yaar Kuch tiree khidmat na ho sakee Vaa.iz ko apne aib-e-riyaa kaa raha khayaal Rindon kee saaf saaf mazammat na ho sakee Arbaab-e-qaal haal pe ghaalib na aa sake Zaahid se aashiqon kee imaamat na ho sakee Aisa bhee kya itaab ki saaqee bachee-kuchhee Aakhir men Kuch bhee ham ko inaayat na ho sakee Un se main apne dil kaa taqaazaa na kar sakaa Ye baat thee khilaaf-e-muravvat na ho sakee Kyuun aa.e hosh men jo ibaadat na kar sake Peer-e-mughaan kee ham se itaa.at na ho sakee 'hasrat' tiree nigaah-e-mohabbat ko kya kahoon Mahfil men raat un se sharaarat na ho sakee