un ko rusvaa mujhe kharaab na kar
— Hasrat Mohani
Un ko rusvaa mujhe kharaab na kar
Ai dil itnaa bhee iztiraab na kar
Aamad-e-yaar kee umiid na chhoD
Dekh ai aankh mail-e-khvaab na kar
Mil hee rahtee hai mai-parast ko mai
Fikr-e-naa-yaabi-e-sharaab na kar
Naasehaa ham karenge sharh-e-junoon
Dil-e-deevaana se khitaab na kar
Shauq yaaron kaa be-shumaar nahin
Sitam ai dost be-hisaab na kar
Dil ko mast-e-khayaal-e-yaar banaa
Lab ko aalooda-e-sharaab na kar
Rakh bahar-haal shaghl-e-mai 'hasrat'
Is men parvaa-e-shekh-o-shaab na kar