wo chup ho gae mujh se kya kahte kahte
— Hasrat Mohani
Wo chup ho ga.e mujh se kya kahte kahte
Ki dil rah gaya mudda.aa kahte kahte
Miraa ishq bhee khud-gharaz ho chalaa hai
Tire husn ko bevafaa kahte kahte
Shab-e-gham kis aaraam se so ga.e hain
Fasaana tiree yaad kaa kahte kahte
Ye kya paD ga.ee khoo-e-dushnaam tum ko
Mujhe naa-sazaa barmalaa kahte kahte
Khabar un ko ab tak nahin mar miTe ham
Dil-e-zaar kaa maajraa kahte kahte
Ajab kya jo hai bad-gumaan sab se vaa.iz
Buraa sunte sunte buraa kahte kahte
Wo aa.e magar aa.e kis vaqt 'hasrat'
Ki ham chal base marhabaa kahte kahte