yaad kar wo din ki teraa koi saudaaii na tha
— Hasrat Mohani
Yaad kar wo din ki teraa koi saudaai na tha
Baavajood-e-husn too aagaah-e-raanaa.ee na tha
Ishq-e-roz-afzoon pe apne mujh ko hairaanee na thee
Jalva-e-rangeen pe tujh ko naaz-e-yaktaa.ee na tha
Diid ke qaabil thee mere ishq kee bhee saadgee
Jabki teraa husn sargarm-e-khud-aaraa.ee na tha
Kya hue wo din ki mahv-e-aarzoo the husn o ishq
Rabt tha donon men go rabt-e-shanaasaa.ee na tha
Too ne 'hasrat' kee ayaan tahzeeb-e-rasm-e-aashiqee
Is se pahle aitbaar-e-shaan-e-rusvaa.ee na tha