ai matavaalo naaqon vaalo
— Ibn E Insha
Ai matavaalo naaqon vaalo dete ho kuch us kaa pataa
Najd ke andar majnoon naamee ek hamaaraa bhaa.ee tha
Aakhir us par kya kuch biitee jaano to ahvaal kaho
Maut milee yaa lailaa paa.ee? deevaane kaa ma.aal kaho
Aql kee baaten kahne vaale doston ne use samjhaayaa
Us ko to lekin chup see lagee thee naa bolaa naa baaz aayaa
Khair ab us kee baat ko chhoDo deevaanaa phir deevaanaa
Jaate jaate ham logon kaa ek sandesaa le jaanaa
Aavaara aavaara phirnaa chhoD ke manDlee yaaron kee
Dekh rahe hain dekhne vaale 'inshaa' kaa ab haal vahee
Kyaa achchhaa khush-baash javaan tha jaane kyuun beemaar huaa
UThte baiThte miir kee baiten paDhnaa us kaa shi.aar huaa
Taur-tareeqa ukhDaa-ukhDaa chehraa piilaa sakht malool
Raah men jaise khaak pe koi maslaa maslaa baagh kaa phuul
Shaam savere baal bikhere baiThaa baiThaa rotaa hai
Naaqon vaalo! in logon kaa aalam kaisaa hota hai
Apnaa bhee wo dost tha ham bhee paas us ke baith aate hain
Idhar udhar ke qisse kah ke jee us kaa bahlaate hain
UkhDee-ukhDee baat kare hai bhuul ke aglaa yaaraanaa
Kaun ho tum kis kaam se aa.e? ham ne na tum ko pahchaanaa
Jaane ye kis ne choT lagaa.ee jaane ye kis ko pyaar kare
Tumhee kaho ham kis ko DhoonDen aahen kheenche naam na le
Piit men aise jaan se yaaro kitne log guzarte hain
Piit men naahaq mar nahin jaate piit to saare karte hain
Ai matvaalo naaqon vaalo! nagree nagree jaate ho
Kaheen jo us kee jaan kaa bairee mil jaa.e ye baat kaho
Chaak-girebaan ik deevaana phirtaa hai hairaan hairaan
Patthar se sar phoD maregaa deevaane ko sabr kahaan
Tum chaaho to bastee chhoDe tum chaaho to dasht basaa.e
Ai matavaalo naaqon vaalo varna ik din ye hogaa
Tum logon se aate jaate poochhenge 'inshaa' kaa pataa
Ai matawalo naqon walo dete ho kuch us ka pata
Najd ke andar majnun nami ek hamara bhai tha
AaKHir us par kya kuch biti jaano to ahwal kaho
Maut mili ya laila pai? diwane ka maal kaho
Aql ki baaten kahne wale doston ne use samjhaya
Us ko to lekin chup si lagi thi na bola na baz aaya
KHair ab us ki baat ko chhoDo diwana phir diwana
Jate jate hum logon ka ek sandesa le jaana
Aawara aawara phirna chhoD ke manDli yaron ki
Dekh rahe hain dekhne wale 'insha' ka ab haal wahi
Kya achchha KHush-bash jawan tha jaane kyun bimar hua
UThte baiThte mir ki baiten paDhna us ka shiar hua
Taur-tariqa ukhDa-ukhDa chehra pila saKHt malul
Rah mein jaise KHak pe koi masla masla bagh ka phul
Sham sawere baal bikhere baiTha baiTha rota hai
Naqon walo! in logon ka aalam kaisa hota hai
Apna bhi wo dost tha hum bhi pas us ke baith aate hain
Idhar udhar ke qisse kah ke ji us ka bahlate hain
UkhDi-ukhDi baat kare hai bhul ke agla yarana
Kaun ho tum kis kaam se aae? hum ne na tum ko pahchana
Jaane ye kis ne choT lagai jaane ye kis ko pyar kare
Tumhi kaho hum kis ko DhunDen aahen khinche nam na le
Pit mein aise jaan se yaro kitne log guzarte hain
Pit mein nahaq mar nahin jate pit to sare karte hain
Ai matwalo naqon walo! nagri nagri jate ho
Kahin jo us ki jaan ka bairi mil jae ye baat kaho
Chaak-gireban ek diwana phirta hai hairan hairan
Patthar se sar phoD marega diwane ko sabr kahan
Tum chaho to basti chhoDe tum chaho to dasht basae
Ai matawalo naqon walo warna ek din ye hoga
Tum logon se aate jate puchhenge 'insha' ka pata