aur to koi bas na chalegaa hijr ke dard ke maaron kaa

Ibn E Insha

Aur to koi bas na chalegaa hijr ke dard ke maaron kaa Sub.h kaa honaa doobhar kar den rasta rok sitaaron kaa JhooTe sikkon men bhee uThaa dete hain ye aksar sachchaa maal Shaklen dekh ke saude karnaa kaam hai in banjaaron kaa Apnee zabaan se kuch na kahenge chup hee rahenge aashiq log Tum se to itnaa ho saktaa hai poochho haal bichaaron kaa Jis jipsi kaa zikr hai tum se dil ko usee kee khoj rahi Yuun to hamaare shahr men aksar melaa lagaa nigaaron kaa Ek zaraa see baat thee jis kaa charchaa pahunchaa galee galee Ham gumnaamon ne phir bhee ehsaan na maanaa yaaron kaa Dard kaa kahnaa cheekh hee uTTho dil kaa kahnaa vaz.a nibhaao Sab kuch sahnaa chup chup rahnaa kaam hai izzat-daaron kaa 'inshaa' jee ab ajnabiyon men chain se baaqee umr kaTe Jin kee khaatir bastee chhoDee naam na lo un pyaaron kaa