billuu kaa basta chhotii sii billuu
— Ibn E Insha
ChhoTee see billoo
ChhoTaa saa basta
Thoonsaa hai jis men
Kaaghaz kaa dasta
LakDee kaa ghoDaa
Ruee kaa bhaaloo
Chooran kee sheeshee
Aaloo kachaaloo
Billoo kaa basta
Jin kee piTaaree
Jab is ko dekho
Pahle se bhaaree
LaTToo bhee is men
Rassee bhee is men
DanDaa bhee is men
Gillee bhee is men
Ai pyaaree billoo
Ye to bataao
Kyaa kaam karne
Schol jaao
Urdu na jaano
English na jaano
Kahtee ho khud ko
Bilqees baano
Umr kee itnee
Kachchee nahin ho
Chhe saal kee ho
Bachchee nahin ho
Baahar nikaalo
LakDee kaa ghoDaa
Ye laTToo rassee
Ye gillee DanDaa
GuDiyaa ke juute
Jampar juraaben
Baste men rakkho
Apnee kitaaben
Munh na banaao
Schol jaao
Ai pyaaree billoo
Ai pyaaree billoo
ChhoTi si billu
ChhoTa sa basta
Thunsa hai jis mein
Kaghaz ka dasta
LakDi ka ghoDa
Rui ka bhaalu
Churan ki shishi
Aalu kachaalu
Billu ka basta
Jin ki piTari
Jab is ko dekho
Pahle se bhaari
LaTTu bhi is mein
Rassi bhi is mein
DanDa bhi is mein
Gilli bhi is mein
Ai pyari billu
Ye to batao
Kya kaam karne
School jao
Urdu na jaano
English na jaano
Kahti ho KHud ko
Bilqis bano
Umr ki itni
Kachchi nahin ho
Chhe sal ki ho
Bachchi nahin ho
Bahar nikalo
LakDi ka ghoDa
Ye laTTu rassi
Ye gilli DanDa
GuDiya ke jute
Jampar juraben
Baste mein rakkho
Apni kitaben
Munh na banao
School jao
Ai pyari billu
Ai pyari billu