chaand ke tamannaaii shahr e dil ki galiyon men
— Ibn E Insha
Shahr-e-dil kee galiyon men
Shaam se bhaTakte hain
Chaand ke tamannaa.ee
Be-qaraar saudaai
Dil-gudaaz taareekee
Rooh-o-jaan ko Dastee hai
Rooh-o-jaan men bastee hai
Shahr-e-dil kee galiyon men
Taak shab kee belon par
Shabnameen sarishkon kee
Be-qaraar logon ne
Be-shumaar logon ne
Yaadgaar chhoDee hai
Itnee baat thoDee hai
Sad hazaar baaten thiin
Heela-e-shakebaa.ee
Sooraton kee zebaa.ee
Qaamaton kee ra.anaa.ee
In siyaah raaton men
Ek bhee na yaad aa.ee
Jaa-ba-jaa bhaTakte hain
Kis kee raah takte hain
Chaand ke tamannaa.ee
Ye nagar kabhi pahle
Is qadar na veeraan tha
Kahne vaale kahte hain
Qarya-e-nigaaraan tha
Khair apne jiine kaa
Ye bhee ek saamaan tha
Aaj dil men veeraanee
Abr ban ke ghir aa.ee
Aaj dil ko kya kahiye
Baa-wafa na harjaa.ee
Phir bhee log deevaane
Aa ga.e hain samjhaane
Apnee vahshat-e-dil ke
Bun liye hain afsaane
Khush-khayaal dunya ne
Garmiyaan to jaatee hain
Vo ruten bhee aateen hain
Jab malool raaton men
Doston kee baaton men
Jee na chain paa.egaa
Aur uub jaa.egaa
AahaTon se goonjegee
Shahr-e-dil kee pahnaa.ee
Aur chaand raaton men
Chaandnee ke shaidaa.ee
Har bahaane niklenge
Aazmaane niklenge
Aarzoo kee gahraa.ee
DhoonDne ko rusvaa.ee
Sard sard raaton ko
Zard chaand bakhshegaa
Be-hisaab tanhaa.ee
Be-hijaab tanhaa.ee
Shahr-e-dil kee galiyon men
Shahr-e-dil ki galiyon mein
Sham se bhaTakte hain
Chand ke tamannai
Be-qarar saudai
Dil-gudaz tariki
Ruh-o-jaan ko Dasti hai
Ruh-o-jaan mein basti hai
Shahr-e-dil ki galiyon mein
Tak shab ki belon par
Shabnamin sarishkon ki
Be-qarar logon ne
Be-shumar logon ne
Yaadgar chhoDi hai
Itni baat thoDi hai
Sad hazar baaten thin
Hila-e-shakebai
Suraton ki zebai
Qamaton ki ranai
In siyah raaton mein
Ek bhi na yaad aai
Ja-ba-ja bhaTakte hain
Kis ki rah takte hain
Chand ke tamannai
Ye nagar kabhi pahle
Is qadar na viran tha
Kahne wale kahte hain
Qarya-e-nigaran tha
KHair apne jine ka
Ye bhi ek saman tha
Aaj dil mein virani
Abr ban ke ghir aai
Aaj dil ko kya kahiye
Ba-wafa na harjai
Phir bhi log diwane
Aa gae hain samjhane
Apni wahshat-e-dil ke
Bun liye hain afsane
KHush-KHayal duniya ne
Garmiyan to jati hain
Wo ruten bhi aatin hain
Jab malul raaton mein
Doston ki baaton mein
Ji na chain paega
Aur ub jaega
AahaTon se gunjegi
Shahr-e-dil ki pahnai
Aur chand raaton mein
Chandni ke shaidai
Har bahane niklenge
Aazmane niklenge
Aarzu ki gahrai
DhunDne ko ruswai
Sard sard raaton ko
Zard chand baKHshega
Be-hisab tanhai
Be-hijab tanhai
Shahr-e-dil ki galiyon mein