darvaaza khulaa rakhnaa dil dard ki shiddat se Khoon gashta o sii paara
— Ibn E Insha
Dil dard kee shiddat se khoon-gashta o see-paara
Is shahr men phirtaa hai ik vahshee-o-aavaara
Shaa.er hai ki aasheeq hai, jogee hai ki banjaara
Darvaaza khulaa rakhnaa
Siine se ghaTaa uTThe aankhon se jhaDee barse
Phaagun kaa nahin baadal, jo chaar-ghaDee barse
Barkhaa hai ye bhaadon ki, barse to baDee barse
Darvaaza khulaa rakhnaa
Aankhon men to ik aalam aankhon men to dunya hai
HonTon pe magar mohren munh se nahin kahtaa hai
Kis chiiz ko kho baiThaa kya DhoonDne niklaa hai
Darvaaza khulaa rakhnaa
Haan thaam mohabbat kee gar thaam sake Doree
Saajan hai tiraa saajan ab tujh se to kya choree
Ye jis kee munaadee hai bastee men tiree goree
Darvaaza khulaa rakhnaa
Shikvon ko uThaa rakhnaa, aankhon ko bichhaa rakhnaa
Ik sham.a dareeche kee chaukhaT pe jalaa rakhnaa
Maayoos na phir jaa.e, haan paas-e-wafa rakhnaa
Darvaaza khulaa rakhnaa
Darvaaza khulaa rakhnaa
Dil dard ki shiddat se KHun-gashta o si-para
Is shahr mein phirta hai ek wahshi-o-awara
Shaer hai ki aashiq hai, jogi hai ki banjara
Darwaza khula rakhna
Sine se ghaTa uTThe aankhon se jhaDi barse
Phagun ka nahin baadal, jo chaar-ghaDi barse
Barkha hai ye bhadon ki, barse to baDi barse
Darwaza khula rakhna
Aankhon mein to ek aalam aankhon mein to duniya hai
HonTon pe magar mohren munh se nahin kahta hai
Kis chiz ko kho baiTha kya DhunDne nikla hai
Darwaza khula rakhna
Han tham mohabbat ki gar tham sake Dori
Sajan hai tera sajan ab tujh se to kya chori
Ye jis ki munadi hai basti mein teri gori
Darwaza khula rakhna
Shikwon ko uTha rakhna, aankhon ko bichha rakhna
Ek shama dariche ki chaukhaT pe jala rakhna
Mayus na phir jae, han pas-e-wafa rakhna
Darwaza khula rakhna
Darwaza khula rakhna