dil aashob
— Ibn E Insha
Yuun kahne ko raahen mulk-e-wafa kee ujaal gaya
Ik dhund milee jis raah men paik-e-khayaal gaya
Phir chaand hamen kisee raat kee god men Daal gaya
Ham shahr men Thahren, aisa to jee kaa rog nahin
Aur ban bhee hain suune un men bhee ham se log nahin
Aur kooche ko tere lauTne kaa to savaal gaya
Tire lutf-o-ataa kee dhuum sahee mahfil mahfil
Ik shakhs tha inshaa naam-e-mohabbat men kaamil
Ye shakhs yahaan paamaal raha, paamaal gaya
Tiree chaah men dekhaa ham ne ba-haal-e-kharaab ise
Par ishq o wafa ke yaad rahe aadaab ise
Tiraa naam o maqaam jo poochhaa, hans kar Taal gaya
Ik saal gaya, ik saal nayaa hai aane ko
Par waqt kee bhee ab hosh nahin deevaane ko
Dil haath se is ke vahshee hiran kee misaal gaya
Ham ahl-e-wafa ranjoor sahee, majboor nahin
Aur shahr-e-wafa se dasht-e-junoon kuch duur nahin
Ham khush na sahee, par tere sar kaa vabaal gaya
Ab husn ke gaD.h aur shahr-panaahen suunee hain
Vo jo aashnaa the un sab kee nigaahen suunee hain
Par too jo gaya har baat kaa jee se malaal gaya
Yun kahne ko rahen mulk-e-wafa ki ujal gaya
Ek dhund mili jis rah mein paik-e-KHayal gaya
Phir chand hamein kisi raat ki god mein Dal gaya
Hum shahr mein Thahren, aisa to ji ka rog nahin
Aur ban bhi hain sune un mein bhi hum se log nahin
Aur kuche ko tere lauTne ka to sawal gaya
Tere lutf-o-ata ki dhum sahi mahfil mahfil
Ek shaKHs tha insha nam-e-mohabbat mein kaamil
Ye shaKHs yahan pamal raha, pamal gaya
Teri chah mein dekha hum ne ba-haal-e-KHarab ise
Par ishq o wafa ke yaad rahe aadab ise
Tera nam o maqam jo puchha, hans kar Tal gaya
Ek sal gaya, ek sal naya hai aane ko
Par waqt ki bhi ab hosh nahin diwane ko
Dil hath se is ke wahshi hiran ki misal gaya
Hum ahl-e-wafa ranjur sahi, majbur nahin
Aur shahr-e-wafa se dasht-e-junun kuch dur nahin
Hum KHush na sahi, par tere sar ka wabaal gaya
Ab husn ke gaDh aur shahr-panahen suni hain
Wo jo aashna the un sab ki nigahen suni hain
Par tu jo gaya har baat ka ji se malal gaya