dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho

Ibn E Insha

Dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho Is baat se ham ko kya matlab ye kaise ho ye kyoonkar ho Ik bhiik ke donon kaase hain ik pyaas ke dono pyaase hain Ham khetee hain tum baadal ho ham nadiyaan hain tum saagar ho Ye dil hai ki jalte siine men ik dard kaa phoDaa allhaD saa Naa gupt rahe naa phuuT bahe koee marham ho koee nishtar ho Ham saanjh samay kee chhaayaa hain tum chaDhtee raat ke chandramaan Ham jaate hain tum aate ho phir mel kee soorat kyoonkar ho Ab husn kaa rutba 'aalee hai ab husn se sahraa khaalee hai Chal bastee men banjaara ban chal nagree men saudaagar ho Jis chiiz se tujh ko nisbat hai jis chiiz kee tujh ko chaahat hai Wo sonaa hai wo hiiraa hai wo maaTee ho yaa kankar ho Ab 'inshaa'-jee ko bulaanaa kya ab pyaar ke diip jalaanaa kya Jab dhoop aur chhaayaa ek se hon jab din aur raat baraabar ho Wo raaten chaand ke saath ga.iin wo baaten chaand ke saath ga.iin Ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh kaa sooraj sar par ho