dil ik kutiyaa dasht kinaare dunya bhar se duur ye nagrii
— Ibn E Insha
Dunya-bhar se duur ye nagree
Nagree dunya-bhar se niraalee
Andar armaanon kaa mela
Baahar se dekho to khaalee
Ham hain is kuTiyaa ke jogee
Ham hain is nagree ke vaalee
Ham ne taj rakkhaa hai zamaanaa
Tum aanaa to tanhaa aanaa
Dil ik kuTiyaa dasht kinaare
Bastee kaa saa haal nahin hai
Mukhiyaa piir prohit payaade
In sab kaa janjaal nahin hai
Naa baniye na seTh na Thaakur
PainTh nahin chaupaal nahin hai
Sonaa ruupaa chaukee masnad
Ye bhee maal-manaal nahin hai
Lekin ye jogee dil vaalaa
Ai goree kangaal nahin hai
Chaaho jo chaahat kaa khazaanaa
Tum aanaa aur tanhaa aanaa
Aahoo maange ban kaa ramnaa
Bhanvraa chaahe phuul kee Daalee
Sookhe khet kee konpal maange
Ik ghanghor badriyaa kaalee
Dhuup jale kaheen saaya chaahen
Andhee raaten diip divaalee
Ham kya maangen ham kya chaahen
HonT sile aur jholee khaalee
Dil bhanvraa na phuul na konpal
Bagiyaa naa bagiyaa kaa maalee
Dil aahoo na dhoop na saayaa
Dil kee apnee baat niraalee
Dil to kisee darshan kaa bhookaa
Dil to kisee darshan kaa savaalee
Naam liye bin paDaa pukaare
Kise pukaare dasht kinaare
Ye to ik dunya ko chaahen
In ko kis ne apna jaanaa
Aur to sab logon ke Thikaane
Ab bhaTken to aap hee bhaTken
ChhoDaa dunya ko bhaTkaanaa
Giit kabat aur nazmen ghazlen
Ye sab in kaa maal puraanaa
JhooTee baaten sachchee baaten
Biitee baaten kya dohraanaa
Ab to goree na.e sire se
Andhiyaaron men diip jalaanaa
Majbooree? kaisee majbooree
Aanaa ho to laakh bahaanaa
Aanaa is kuTiyaa ke dvaare
Dil ik kuTiyaa dasht kinaare
Duniya-bhar se dur ye nagri
Nagri duniya-bhar se nirali
Andar armanon ka mela
Bahar se dekho to KHali
Hum hain is kuTiya ke jogi
Hum hain is nagri ke wali
Hum ne taj rakkha hai zamana
Tum aana to tanha aana
Dil ek kuTiya dasht kinare
Basti ka sa haal nahin hai
Mukhiya pir prohit payaade
In sab ka janjal nahin hai
Na baniye na seTh na Thakur
PainTh nahin chaupal nahin hai
Sona rupa chauki masnad
Ye bhi mal-manal nahin hai
Lekin ye jogi dil wala
Ai gori kangal nahin hai
Chaho jo chahat ka KHazana
Tum aana aur tanha aana
Aahu mange ban ka ramna
Bhanwra chahe phul ki Dali
Sukhe khet ki konpal mange
Ek ghanghor badriya kali
Dhup jale kahin saya chahen
Andhi raaten dip diwali
Hum kya mangen hum kya chahen
HonT sile aur jholi KHali
Dil bhanwra na phul na konpal
Bagiya na bagiya ka mali
Dil aahu na dhup na saya
Dil ki apni baat nirali
Dil to kisi darshan ka bhuka
Dil to kisi darshan ka sawali
Nam liye bin paDa pukare
Kise pukare dasht kinare
Ye to ek duniya ko chahen
In ko kis ne apna jaana
Aur to sab logon ke Thikane
Ab bhaTken to aap hi bhaTken
ChhoDa duniya ko bhaTkana
Git kabat aur nazmen ghazlen
Ye sab in ka mal purana
JhuTi baaten sachchi baaten
Biti baaten kya dohrana
Ab to gori nae sire se
Andhiyaron mein dip jalana
Majburi? kaisi majburi
Aana ho to lakh bahana
Aana is kuTiya ke dware
Dil ek kuTiya dasht kinare