dil ishq men be paayaan sauda ho to aisa ho
— Ibn E Insha
Dil ishq men be-paayaan sauda ho to aisa ho
Dariyaa ho to aisa ho sahraa ho to aisa ho
Ik khaal-e-suvaidaa men pahnaa.ee-e-do-aalam
Phailaa ho to aisa ho simTaa ho to aisa ho
Ai qais-e-junoon-pesha 'inshaa' ko kabhi dekhaa
Vahshee ho to aisa ho rusvaa ho to aisa ho
Dariyaa ba-hubaab-andar toofaan ba-sahaab-andar
Mahshar ba-hijaab-andar honaa ho to aisa ho
Ham se nahin rishta bhee ham se nahin miltaa bhee
Hai paas wo baiThaa bhee dhokaa ho to aisa ho
Wo bhee raha begaana ham ne bhee na pahchaanaa
Haan ai dil-e-deevaana apna ho to aisa ho
Is dard men kya kya hai rusvaa.ee bhee lazzat bhee
KaanTaa ho to aisa ho chubhtaa ho to aisa ho
Ham ne yahee maangaa thaa us ne yahee bakhshaa hai
Banda ho to aisa ho daataa ho to aisa ho