dil kis ke tasavvur men jaane raaton ko pareshaan hota hai
— Ibn E Insha
Dil kis ke tasavvur men jaane raaton ko pareshaan hota hai
Ye husn-e-talab kee baat naheen hota hai miree jaan hota hai
Ham teree sikhaa.ee mantiq se apne ko to samjhaa lete hain
Ik khaar khaTaktaa rahtaa hai siine men jo pinhaan hota hai
Phir un kee galee men pahunchegaa phir sahv kaa sajda kar legaa
Is dil pe bharosaa kaun kare har roz musalmaan hota hai
Wo dard ki us ne chheen liyaa wo dard ki us kee bakhshish thaa
Tanhaa.ee kee raaton men 'inshaa' ab bhee miraa mehmaan hota hai