dil piit ki aag men jaltaa hai
— Ibn E Insha
Dil piit kee aag men jaltaa hai haan jaltaa rahe use jalne do
Is aag se logo duur raho ThanDee na karo pankhaa na jhalo
Ham raat dinaa yuun hee ghulte rahen koi poochhe ki ham ko naa poochhe
Koee saajan ho yaa dushman ho tum zikr kisee kaa mat chheDo
Sab jaan ke sapne dekhte hain sab jaan ke dhoke khaate hain
Ye deevaane saada hee sahee par itne bhee saada nahin yaaro
Kis baiThee tapish ke maalik hain ThiThuree huee aag ke angiyaare
Tum ne kabhi senkaa hee nahin tum kya samjho tum kya jaano
Dil piit kee aag men jaltaa hai haan jaltaa hai ise jalne do
Is aag se tum to duur raho ThanDee na karo pankhaa na jhalo
Har mahfil men ham donon kee kya kya nahin baaten hotee hain
In baaton kaa mafhoom hai kya tum kya samjho tum kya jaano
Dil chal ke labon tak aa na sakaa lab khul na sake gham jaa na sakaa
Apnaa to bas itnaa qissa tha tum apnee sunaao apnee kaho
Vo shaam kahaan wo raat kahaan wo waqt kahaan wo baat kahaan
Jab marte the marne na diyaa ab jiite hain ab jiine do
Dil piit kee aag men jaltaa hai haan jaltaa rahe ise jalne do
Is aag se 'inshaa' duur raho ThanDee na karo pankhaa na jhalo
Logon kee to baaten sachchee hain aur dil kaa bhee kahnaa karnaa huaa
Par baat hamaaree maano to yaa un ke bano yaa apne raho
Raahee bhee nahin rahzan bhee nahin bijlee bhee nahin khirman bhee nahin
Aisaa bhee bhalaa hota hai kaheen tum bhee to ajab deevaane ho
Is khel men har baat apnee kahaan jiit apnee kahaan maat apnee kahaan
Yaa khel se yaksar uTh jaao yaa jaatee baazee jaane do
Dil piit kee aag men jaltaa hai
Dil pit ki aag mein jalta hai han jalta rahe use jalne do
Is aag se logo dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo
Hum raat dina yun hi ghulte rahen koi puchhe ki hum ko na puchhe
Koi sajan ho ya dushman ho tum zikr kisi ka mat chheDo
Sab jaan ke sapne dekhte hain sab jaan ke dhoke khate hain
Ye diwane sada hi sahi par itne bhi sada nahin yaro
Kis baiThi tapish ke malik hain ThiThuri hui aag ke angiyare
Tum ne kabhi senka hi nahin tum kya samjho tum kya jaano
Dil pit ki aag mein jalta hai han jalta hai ise jalne do
Is aag se tum to dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo
Har mahfil mein hum donon ki kya kya nahin baaten hoti hain
In baaton ka mafhum hai kya tum kya samjho tum kya jaano
Dil chal ke labon tak aa na saka lab khul na sake gham ja na saka
Apna to bas itna qissa tha tum apni sunao apni kaho
Wo sham kahan wo raat kahan wo waqt kahan wo baat kahan
Jab marte the marne na diya ab jite hain ab jine do
Dil pit ki aag mein jalta hai han jalta rahe ise jalne do
Is aag se 'insha' dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo
Logon ki to baaten sachchi hain aur dil ka bhi kahna karna hua
Par baat hamari mano to ya un ke bano ya apne raho
Rahi bhi nahin rahzan bhi nahin bijli bhi nahin KHirman bhi nahin
Aisa bhi bhala hota hai kahin tum bhi to ajab diwane ho
Is khel mein har baat apni kahan jit apni kahan mat apni kahan
Ya khel se yaksar uTh jao ya jati bazi jaane do
Dil pit ki aag mein jalta hai