dil sii chiiz ke gaahak honge do yaa ek hazaar ke biich
— Ibn E Insha
Dil see chiiz ke gaahak honge do yaa ek hazaar ke biich
'inshaa' jee kya maal liye baiThe ho tum baazaar ke biich
Peenaa-pilaanaa 'ain gunah hai jee kaa lagaanaa 'ain havas
Aap kee baaten sab sachchee hain lekin bharee bahaar ke biich
Ai sakhiyo ai khush-nazro yak guuna karam khairaat karo
Na.ara-zanaan Kuch log phiren hain sub.h se shahr-e-nigaar ke biich
Khaar-o-khas-o-khaashaak to jaanen ek tujhee ko khabar na mile
Ai gul-e-khoobee ham to 'abas badnaam hue gulzaar ke biich
Minnat-e-qaasid kaun uThaa.e shikva-e-darbaan kaun kare
Naama-e-shauq ghazal kee soorat chhapne ko do akhbaar ke biich